ab  rahe  yā  na  rahe  koī  malāl-e-duniyā
khīñchtī  hai  mirā  dil  chashm-e-ġhazāl-e-duniyā
lo  utartī  hai  badan  se  mire  ḳhākī  poshāk
lo  huā  jaatā  huuñ  maiñ  sarf-e-kamāl-e-duniyā
miT  rahe  haiñ  mire  andar  ke  sabhī  naqsh-o-nigār
ban  rahe  haiñ  mire  bāhar  ḳhad-o-ḳhāl-e-duniyā
tere  chehre  kā  fusūñ  bhī  nazar  aa.e  to  kahīñ
koī  ā.īnā  dikhātā  hai  jamāl-e-duniyā
bas  yahī  naḳhl-e-havas  hai  jo  rahegā  sarsabz
tirā  iqbāl  sivā  taaza  nihāl-e-duniyā
maiñ  bhī  hairān  mirā  dil  bhī  pashīmān  sā  hai
jism  ke  haath  huā  jab  se  visāl-e-duniyā