Shauq Qidvai

mare ghusse ke ghazab ki tab ruKHsaron mein hai

Shauq Qidvai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1852-1925

maare ġhusse ke ġhazab taab ruḳhsāroñ meñ hai

kal to thī phūloñ meñ gintī aaj añgāroñ meñ hai

tab sozish se mire chehre surḳhī dekhnā

kuchh tumheñ ḳhush-rū nahīñ ye phir tarah-dāroñ meñ hai

ruuh tere ghar ko chhoḌe ye kabhī mumkin nahīñ

jism merā ḳhaak ho kar us dīvāroñ meñ hai

itnī zardī saarī duniyā ḳhizāñ meñ bhī na ho

jitnī aur zālim tirī ulfat ke bīmāroñ meñ hai

ghaTe kuchh ishq merā baḌhe duniyā meñ husn

ye to nā-kāfī hai jitnā un dil-āzāroñ meñ hai

aa.ine meñ Dāltā hai ruḳh pe merī nigāh

bhī mere saath ulfat ke gunahgāroñ meñ hai

qudrat itne naaz paidā kar sakegī nahīñ

un jitnā sarf tere nāz-bardāroñ meñ hai

mas.ala kasrat meñ vahdat huā hal tum se ḳhuub

ek jhuuT aur tumhāre laakh iqrāroñ meñ hai

qaid meñ kitnī baḌhī mere junūñ kāhilī

us se kam hai jitnī duniyā bhar ke be-kāroñ meñ hai

chāñd kah de jo dekhā ho kahīñ tujh hasīñ

us ne bhī dekhī hai duniyā ye bhī sayyāroñ meñ hai

kufr ne islām ko shāyad kahīñ maarā ki 'shauq'

mātamī poshāk se ka.aba azādāroñ meñ hai

Top Urdushayar.com