ishq  meñ  har  tamannā-e-qalb-e-hazīñ  surḳh  aañsū  bahā.e  to  maiñ  kyā  karūñ
nā-umīdī  hama-vaqt  ummīd  ke  hāshiyoñ  ko  miTā.e  to  maiñ  kyā  karūñ
us  ke  ruḳhsār  sub.h-e-daraḳhshāñ  sahī  us  kī  zulfoñ  meñ  shām-e-ġharībāñ  sahī
dhuup  aur  chhāñv  kī  tarah  vo  ḳhud-nigar  sāmne  mere  aa.e  to  maiñ  kyā  karūñ
vo  alag  maiñ  alag  vo  kahīñ  haiñ  kahīñ  vāqa.ī  ye  to  shāyān-e-ulfat  nahīñ
vo  adā-āshnā  husn-e-nāz-āfrīñ  be-niyāzī  dikhā.e  to  maiñ  kyā  karūñ
hai  safīne  kā  mere  muhāfiz  ḳhudā  nā-ḳhudā  bhī  madad-gār  hai  ab  mirā
ye  bhī  maanā  ki  hai  ab  muāfiq  havā  dil  hī  jab  Duub  jaa.e  to  maiñ  kyā  karūñ
āh-e-sozāñ  kā  ulfat  meñ  yaarā  nahīñ  tujh  pe  aañch  aa.e  mutlaq  gavārā  nahīñ
uḌ  ke  chiñgāriyāñ  ātish-e-vaqt  kī  terā  dāman  jalā.e  to  maiñ  kyā  karūñ
kaun  sā  ġham  hai  jis  kā  mudāvā  nahīñ  kaun  sā  dard  hai  jis  kā  chārā  nahīñ
ishq  ko  ġham  ho  pyārā  to  kyā  kījiye  dard  hī  dil  ko  bhaa.e  to  maiñ  kyā  karūñ
kaam  jo  rahnumā  kā  thā  maiñ  ne  kiyā  us  kī  manzil  kā  us  ko  pata  bhī  diyā
phir  bhī  'turfa'  koī  rahrav-e-kam-nazar  rāsta  bhuul  jaa.e  to  maiñ  kyā  karūñ