zindagī  kyā  hai  ba-juz  vahm-o-gumāñ  mere  liye
ye  zamīñ  jab  ho  ga.ī  be-āsmāñ  mere  liye
vo  badan  sahrā  baḌhā  detā  hai  pahle  merī  pyaas
aur  ban  jaatā  hai  phir  āb-e-ravāñ  mere  liye
mausam-e-dil  ne  bikhere  dil  ke  bāhar  apne  rañg
rañg-e-gul  us  ke  liye  rañg-e-ḳhizāñ  mere  liye
shahr  meñ  lagtī  hai  phir  ik  roz  bujh  jaatī  hai  aag
chhoḌ  jaatī  hai  magar  saarā  dhuāñ  mere  liye
us  se  milne  kā  samāñ  us  se  judā.ī  kī  ghaḌī
aur  phir  kuchh  bhī  nahīñ  sūd-o-ziyāñ  mere  liye
āsmān-e-dil  pe  raushan  lafz-o-ma.anī  kī  tarah
hai  zamīn-e-sher  kī  ye  kahkashāñ  mere  liye