Naseem Sahar

koi to zehan ke dar par zarur dastak de

Naseem Sahar

1944
koī to zehan ke dar par zarūr dastak de
agar shu.ūr na de lā-shu.ūr dastak de
tulū-e-sub.h kā manzar ajiib hotā hai
jab āsmāñ se sadā-e-tuyūr dastak de
is intizār meñ hai merā qasr-e-be-ḳhvābī
ki koī nīñd-parī koī huur dastak de
fasīl-e-shahr-e-tamannā kī tīrgī bhī chhaTe
kabhī to us pe koī sub.h-e-nūr dastak de
phir ek baar azāb-e-shikastagī se guzar
phir us ke dar pe dil-e-nā-subūr dastak de
anā ke ḳhol se nikleñ to yuuñ bhī mumkin hai
dar-e-faqīr pe dast-e-ġhurūr dastak de
ham aur nuur kī ḳhairāt māñgne jaa.eñ
hamāre dar pe to ḳhud koh-e-tūr dastak de
mujhe ġhayāb kā aalam ziyāda raas aayā
magar kabhī kabhī shauq-e-zuhūr dastak de
hudūd-e-vaqt ke darvāze muntazir haiñ 'nasīm'
ki tū ye fāsle kar ke ubuur dastak de
Top Urdushayar.com