ye  zamīñ  vo  āsmāñ  aisā  na  thā
is  tarah  dariyā  kabhī  bahtā  na  thā
zaḳhm  bhī  itne  hare  pahle  na  the
ye  chaman  gul-rañg  bhī  aisā  na  thā
sar-barahna  sūrajoñ  ke  saath  the
yuuñ  ḳhayāl-e-yār  be-sāya  na  thā
ik  sitāra  dil  meñ  raushan  thā  magar
aañkh  ne  us  ko  kabhī  dekhā  na  thā
is  taraf  hī  dekhtā  rahtā  thā  maiñ
vo  darīcha  der  tak  khultā  na  thā
ek  hī  sahrā  ke  baasī  the  sabhī
koī  apnā  koī  begāna  na  thā
har  taraf  tārīk  thī  duniyā  magar
ik  charāġh-e-dil  thā  jo  bujhtā  na  thā