Naseem Sahar

wo ek lamha ki mushkil se kaTne wala tha

Naseem Sahar

1944
vo ek lamha ki mushkil se kaTne vaalā thā
maiñ tañg aa ke zamīñ meñ simaTne vaalā thā
mirā vajūd muzāhim thā chāroñ jānib se
isī liye to maiñ raste se ha.Tne vaalā thā
maiñ taḳht-e-ishq pe faa.ez thā jāntā thā kahāñ
ki ek din mirā taḳhta ulaTne vaalā thā
jo baat kī thī havā meñ bikharne vaalī thī
jo ḳhat likhā thā vo purzoñ meñ baTne vaalā thā
ye intihā thī ki ik roz maiñ bhī dānista
ġhubār ban ke havā se lipaTne vaalā thā
phir ik sadā pe mujhe faisla badalnā paḌā
maiñ yuuñ to us kī galī se palaTne vaalā thā
'nasīm' taaza havā ne diyā thā mujh ko payām
ġhubār dil pe jo chhāyā thā chhaTne vaalā thā
Top Urdushayar.com