ahl-e-duniyā  dekhte  haiñ  kitnī  hairānī  ke  saath
zindagī  ham  ne  basar  kar  lī  hai  nādānī  ke  saath
ik  tamannāoñ  kā  bahr-e-be-karāñ  thā  aur  ham
kashti-e-jāñ  ko  bachā  laa.e  haiñ  āsānī  ke  saath
ab  kise  dil  ke  dhaḌakne  kī  sadā.eñ  yaad  haiñ
ye  bhī  hañgāma  gayā  is  ghar  kī  vīrānī  ke  saath
ai  havā  tū  ne  to  saare  mārke  sar  kar  liye
sub.h-e-fardā  paas  baiThī  hai  pashīmānī  ke  saath
dasht-e-vahshat  se  bhalā  kartā  hai  āñkheñ  chaar  kaun
shahr  baḌhte  jā  rahe  haiñ  apnī  uryānī  ke  saath
tū  nahīñ  aatā  na  aa  ai  dost  ab  terī  tarah
ham  bhī  chal  nikle  haiñ  apne  dushman-e-jānī  ke  saath