vo  bastiyāñ  vo  baam  vo  dar  kitnī  duur  haiñ
mahtāb  tere  chāñd-nagar  kitnī  duur  haiñ
vo  ḳhvāb  jo  ġhubār-e-gumāñ  meñ  nazar  na  aa.e
vo  ḳhvāb  tujh  se  dīda-e-tar  kitnī  duur  haiñ
bām-e-ḳhayāl-e-yār  se  utre  to  ye  khulā
ham  se  hamāre  shām-o-sahar  kitnī  duur  haiñ
ai  āsmān  in  ko  jahāñ  honā  chāhiye
us  ḳhaak  se  ye  ḳhāk-basar  kitnī  duur  haiñ
baiThe  biThā.e  dil  ke  safar  par  chale  to  aa.e
lekin  vo  mehrbān-e-safar  kitnī  duur  haiñ
ye  bhī  ġhazal  tamām  huī  shaam  ho  chukī
afsūn-e-shā.irī  ke  hunar  kitnī  duur  haiñ