Fartash Syed

sar pe harf aata hai dastar pe harf aata hai

Fartash Syed

sar pe harf aatā hai dastār pe harf aatā hai
tañg hoñ log to sardār pe harf aatā hai
vaise to maiñ bhī bhulā saktā huuñ tujh ko lekin
ishq huuñ so mire kirdār pe harf aatā hai
ghar kī jab baat nikal jaatī hai ghar se bāhar
dar pe harf aatā hai dīvār pe harf aatā hai
kitnā be-bas huuñ ki ḳhāmosh mujhe rahnā hai
boltā huuñ to mire yaar pe harf aatā hai
chup jo rahtā huuñ to huuñ barsar-e-mahfil mujrim
arz kartā huuñ to sarkār pe harf aatā hai
shikva-e-jaur-o-jafā lab pe agar aa jaa.e
dil pe harf aatā hai dildār pe harf aatā hai
Top Urdushayar.com