phir  kisī  ḳhvāb  kī  palkoñ  pe  savārī  aa.ī
ḳhush-umīdī  ko  liye  bād-e-bahārī  aa.ī
phuul  aa.e  haiñ  na.ī  rut  ke  na.ī  shāḳhoñ  par
mauja-e-māh-e-dil-e-ārām  kī  baarī  aa.ī
nā-murādāna  kahīñ  umr  basar  hotī  hai
shād-kāmī  ke  liye  yaad  tumhārī  aa.ī
aur  phir  phail  gayā  rang-e-mohabbat  ruḳh  par
lāla-e-zaḳhm  liye  yaar  kī  yaarī  aa.ī
ik  din  ham  ne  zabāñ  khol  dī  sach  kahne  ko
aur  phir  shāmat-e-a.amāl  hamārī  aa.ī
havas-e-ishq  ke  ahvāl  baham  karne  ko
parda-e-sher  meñ  afsāna-nigārī  aa.ī