Fartash Syed

naKHl-e-mamnua ke ruKH dobara gaya main to mara gaya

Fartash Syed

naḳhl-e-mamnuā ke ruḳh dobāra gayā maiñ to maarā gayā
arsh se farsh par kyuuñ utārā gayā maiñ to maarā gayā
jo paḌhā thā kitāboñ meñ vo aur thā zindagī aur hai
merā īmān saare kā saarā gayā maiñ to maarā gayā
ġham gale paḌ gayā zindagī bujh ga.ī aql jaatī rahī
ishq ke khel meñ kyā tumhārā gayā maiñ to maarā gayā
mujh ko gherā hai tūfān ne is qadar kuchh na aa.e nazar
merī kashtī ga.ī yā kināra gayā maiñ to maarā gayā
mujh ko tū hī batā dast-o-bāzū mire kho ga.e haiñ kahāñ
ai mohabbat mirā har sahārā gayā maiñ to maarā gayā
ishq chaltā banā shā.irī ho chukī mai mayassar nahīñ
maiñ to maarā gayā maiñ to maarā gayā maiñ to maarā gayā
mudda.ī bārgāh-e-mohabbat meñ 'fartāsh' the aur bhī
merā hī naam lekin pukārā gayā maiñ to maarā gayā
Top Urdushayar.com