Fartash Syed

naKHl-e-mamnua ke ruKH dobara gaya main to mara gaya

Fartash Syed

naḳhl-e-mamnuā ke ruḳh dobāra gayā maiñ to maarā gayā

arsh se farsh par kyuuñ utārā gayā maiñ to maarā gayā

jo paḌhā thā kitāboñ meñ vo aur thā zindagī aur hai

merā īmān saare saarā gayā maiñ to maarā gayā

ġham gale paḌ gayā zindagī bujh ga.ī aql jaatī rahī

ishq ke khel meñ kyā tumhārā gayā maiñ to maarā gayā

mujh ko gherā hai tūfān ne is qadar kuchh na aa.e nazar

merī kashtī ga.ī kināra gayā maiñ to maarā gayā

mujh ko batā dast-o-bāzū mire kho ga.e haiñ kahāñ

ai mohabbat mirā har sahārā gayā maiñ to maarā gayā

ishq chaltā banā shā.irī ho chukī mai mayassar nahīñ

maiñ to maarā gayā maiñ to maarā gayā maiñ to maarā gayā

mudda.ī bārgāh-e-mohabbat meñ 'fartāsh' the aur bhī

merā naam lekin pukārā gayā maiñ to maarā gayā

Top Urdushayar.com