kin  bastiyoñ  ke  yaaro  ham  ḳhvāb  dekhte  haiñ
jañgal  pahāḌ  dariyā  tālāb  dekhte  haiñ
begānī  lag  rahīñ  haiñ  mausam  kī  bārisheñ  bhī
mahtāb  sūratoñ  ko  be-āb  dekhte  haiñ
sach  mai  meñ  jhuuT  paanī  itnā  milā  diyā  hai
ab  jis  ko  dekhte  haiñ  sairāb  dekhte  haiñ
ik  zulf  ke  bhañvar  se  jaise  nikal  ke  aa.e
ik  jism  kī  nadī  meñ  girdāb  dekhte  haiñ
kal  jis  jagah  paḌā  thā  paanī  kā  kaal  ham  par
aaj  us  jagah  lahū  kā  sailāb  dekhte  haiñ
ai  be-hunar  sambhal  kar  chalnā  hai  shā.irī  meñ
sher-o-suḳhan  ke  māhir  ahbāb  dekhte  haiñ