fasīl-e-dil  meñ  dar  kiyā  ki  rābta  banā  rahe
ise  ḳhudā  kā  ghar  kiyā  ki  rābta  banā  rahe
zamīñ  pe  apne  jism  kī  thakan  bichhā  ke  so  gayā
bharosa  ḳhaak  par  kiyā  ki  rābta  banā  rahe
sabhī  gharoñ  meñ  aap  hī  muqīm  thā  isī  liye
mujhe  bhī  dar-ba-dar  kiyā  ki  rābta  banā  rahe
vo  dushmanoñ  kī  saf  meñ  thā  isī  liye  kalām  bhī
kamān  khīñch  kar  kiyā  ki  rābta  banā  rahe
use  pasand  aa  ga.iiñ  palak  palak  pe  jhālareñ
so  maiñ  ne  in  ko  tar  kiyā  ki  rābta  banā  rahe
maiñ  ḳhud-ġharaz  meñ  matlabī  tabhī  ḳhudā  se  pyaar  bhī
kisī  ke  naam  par  kiyā  ki  rābta  banā  rahe
ye  kūza-gar  kā  shauq  thā  tabhī  to  merī  ḳhaak  ne
thā  raqs  chaak  par  kiyā  ki  rābta  banā  rahe
kabhī  maiñ  karbalā  gayā  kabhī  madīna  o  najaf
kahāñ  kahāñ  safar  kiyā  ki  rābta  banā  rahe