husn  faanī  hai  javānī  ke  fasāne  tak  hai
par  ye  kam-baḳht  mohabbat  to  zamāne  tak  hai
vo  milegā  to  shanāsā.ī  diloñ  tak  hogī
ajnabiyyat  to  faqat  sāmne  aane  tak  hai
dasht  meñ  paañv  dharā  thā  kabhī  vahshat  ke  baġhair
ab  vahī  ret  mire  ā.īna-ḳhāne  tak  hai
shā.erī  pīroñ  faqīroñ  kā  vazīfa  thā  kabhī
ab  to  ye  kaam  faqat  naam  kamāne  tak  hai
chāñd  gardūñ  ko  mayassar  hai  sahar  hone  tak
raqs-e-darvesh  tire  baam  pe  aane  tak  hai
maiñ  mohammad  ke  ġhulāmoñ  kā  ġhulām  ibn-e-ġhulām
aise  nisbat  usī  pākīza  gharāne  tak  hai