tujh  se  shikva  na  koī  ranj  hai  tanhā.ī  kā
thā  mujhe  shauq  bahut  anjuman-ārā.ī  kā
kuchh  to  āshob-e-havā  aur  havas  kī  hai  shikār
aur  kuchh  kaam  baḌhā  hai  mirī  bīnā.ī  kā
aa.ī  phir  nāfa-e-imroz  se  ḳhushbu-e-visāl
khul  gayā  phir  koī  dar  band  pazīrā.ī  kā
maiñ  ne  poshīda  bhī  kar  rakkhā  hai  dar-parda-e-sher
aur  bharam  khul  bhī  gayā  hai  mirī  dānā.ī  kā
yaanī  is  baar  bhī  vo  ḳhaak  uḌī  hai  ki  mujhe
ek  khaTkā  sā  lagā  rahtā  hai  rusvā.ī  kā
shā.irī  kaam  hai  merā  so  maiñ  kahtā  huuñ  ġhazal
ye  abas  shauq  nahīñ  qāfiya-paimā.ī  kā