apnī  har  baat  zamāne  se  chhupānī  paḌī  thī
phir  bhī  jis  aañkh  meñ  dekhā  to  kahānī  paḌī  thī
maiñ  ne  kuchh  rañg  churā.e  the  kisī  titlī  ke
aur  phir  umr  hifāzat  meñ  bitānī  paḌī  thī
kal  kisī  ishq  ke  bīmār  pe  dam  karnā  thā
pīr-e-kāmil  ko  ġhazal  merī  sunānī  paḌī  thī
kūcha-e-ishq  se  nākām  palaTne  vaale
tū  ne  dekhā  thā  vahāñ  merī  javānī  paḌī  thī
dil  na  sah  paayā  kisī  aur  se  qurbat  us  kī
mujh  ko  dīvār  se  tasvīr  haTānī  paḌī  thī
maiñ  bahut  jald  buḌhāpe  meñ  chalā  aayā  thā
bin  tire  umr  kī  raftār  baḌhānī  paḌī  thī
us  kī  hasrat  kā  badan  barf  na  ho  jaa.e  kahīñ
apne  siine  meñ  mujhe  aag  lagānī  paḌī  thī
tere  'mumtāz'  ko  ġham  maut  kā  bas  is  liye  hai
apne  bāloñ  meñ  tujhe  ḳhaak  ravānī  paḌī  thī