ham  kahāñ  azmat  aslāf  sambhāle  hue  haiñ
bas  tire  ishq  se  māthe  ko  ujāle  hue  haiñ
qais  o  farhād  ta.iiñ  apne  havāle  hue  haiñ
ya.anī  ham  masnad-e-ushshāq  sambhāle  hue  haiñ
jab  bhī  palTe  haiñ  hameñ  haar  dikhā.ī  dī  hai
ham  ne  sikke  ye  ka.ī  baar  uchhāle  hue  haiñ
pyaas  lagtī  hai  inheñ  dekh  ke  ai  dasht-nashīñ
terī  āñkheñ  haiñ  yā  paanī  ke  pyāle  hue  haiñ
ham  ne  ik  umr  kitāboñ  ke  havāle  kī  hai
tab  kahīñ  jā  ke  kitāboñ  ke  havāle  hue  haiñ
ā.īna  ban  ke  khaḌe  haiñ  tire  dar  par  chup-chāp
kab  tire  sāmne  ham  bolne  vaale  hue  haiñ
suud  baḌhtā  gayā  sāñsoñ  kā  hamāre  uupar
ham  mohabbat  meñ  tirī  qarz  se  kaale  hue  haiñ
maiñ  bhī  phir  baiTh  gayā  dekhne  qissa  kyā  hai
ret  giilī  hai  yā  phir  paañv  meñ  chhāle  hue  haiñ