ye  aur  baat  shajar  sar-nigūñ  paḌā  huā  thā
zamīñ  se  us  ne  magar  rābta  rakhā  huā  thā
vahīñ  vahīñ  se  gavāhī  milī  mire  sach  kī
jahāñ  jahāñ  se  mirā  pairahan  phaTā  huā  thā
mujhe  kisī  kā  to  honā  thā  haar  jiit  ke  ba.ad
mirā  vajūd  vahāñ  daav  par  lagā  huā  thā
mirī  nigāh  meñ  thī  surḳh  mahmaloñ  kī  qatār
aur  in  meñ  ek  kajāva  bahut  sajā  huā  thā
añdhere  noch  rahe  the  jamāl  dhartī  kā
mirī  zamīn  kā  sūraj  kahīñ  gayā  huā  thā
mire  huzūr  farishte  jhukā.e  jā  rahe  the
mirā  ḳhamīr  abhī  chaak  par  rakhā  huā  thā
laraz  rahe  the  kamānoñ  meñ  tiir  dahshat  se
mire  'husain'  kā  'asġhar'  kahāñ  Darā  huā  thā