ek  tūfān  kā  sāmān  banī  hai  koī  chiiz
aisā  lagtā  hai  kahīñ  chhūT  ga.ī  hai  koī  chiiz
sab  ko  ik  saath  bahā.e  liye  jaatā  hai  ye  sail
vo  talātum  hai  ki  achchhī  na  burī  hai  koī  chiiz
ek  maiñ  kyā  ki  mah  o  saal  uḌe  jaate  haiñ
ai  havā  tujh  se  zamāne  meñ  bachī  hai  koī  chiiz
ishq  ne  ḳhud  ruḳh-e-gulnār  ko  baḳhshā  hai  faroġh
varna  kab  apne  banā.e  se  banī  hai  koī  chiiz
yaanī  zaḳhmoñ  ke  gulistāñ  pe  bahār  aa  ga.ī  phir
yaanī  ab  bhī  mirī  āshufta-sarī  hai  koī  chiiz
shā.irī  kyā  hai  mujhe  bhī  nahīñ  mālūm  magar
log  kahte  haiñ  ki  ye  dil  kī  lagī  hai  koī  chiiz