agar  koī  ḳhalish-e-jāvedāñ  salāmat  hai
to  phir  jahāñ  meñ  ye  tarz-e-fuġhāñ  salāmat  hai
abhī  to  bichhḌe  hue  log  yaad  ā.eñge
abhī  to  dard-e-dil-e-rā.egāñ  salāmat  hai
agarche  is  ke  na  hone  se  kuchh  nahīñ  hotā
hamāre  sar  pe  magar  āsmāñ  salāmat  hai
sabhī  ko  shauq-e-shahādat  to  ho  gayā  hai  magar
kisī  ke  dosh  pe  sar  hī  kahāñ  salāmat  hai
hamāre  siine  ke  ye  zaḳhm  bhar  ga.e  haiñ  to  kyā
udū  ke  tiir  udū  kī  kamāñ  salāmat  hai
jahāñ  meñ  ranj-e-safar  ham  bhī  khīñchte  haiñ  magar
jo  gum  huā  hai  vahī  kārvāñ  salāmat  hai