matlab  ke  liye  haiñ  na  ma.ānī  ke  liye  haiñ
ye  sher  tabī.at  kī  ravānī  ke  liye  haiñ
vo  chashm  agar  sehr-bayānī  ke  liye  hai
ye  lab  bhī  mirī  tishna-dahānī  ke  liye  haiñ
jo  mere  shab-o-roz  meñ  shāmil  hī  nahīñ  the
kirdār  vahī  merī  kahānī  ke  liye  haiñ
ye  daaġh  mohabbat  kī  nishānī  ke  alāva
ai  ishq  tirī  marsiya-ḳhvānī  ke  liye  haiñ
aatī  hai  sukūt-e-sahar-o-shām  kī  āvāz
dar-asl  to  ham  naql-e-makānī  ke  liye  haiñ
jo  rañg  gul  o  laala  o  nasrīñ  se  haiñ  mansūb
vo  rañg  ab  āshufta-bayānī  ke  liye  haiñ