terā  chehra  na  mirā  husn-e-nazar  hai  sab  kuchh
haañ  magar  dard-e-dil-e-ḳhāk-basar  hai  sab  kuchh
mere  ḳhvāboñ  se  alag  mere  sarāboñ  se  judā
is  mohabbat  meñ  koī  vahm  magar  hai  sab  kuchh
baat  to  tab  hai  ki  tū  bhī  ho  muqābil  mere
jān-e-man  phir  tirā  ḳhanjar  mirā  sar  hai  sab  kuchh
terī  marzī  hai  ise  chāhe  to  sairāb  kare
is  bayābāñ  ko  tirī  ek  nazar  hai  sab  kuchh
misl-e-mazmūn-e-ġhazal  kuchh  nahīñ  ye  hijr  o  visāl
haañ  vahī  yaar  tarah-dār  magar  hai  sab  kuchh