hameñ  to  ab  ke  bhī  aa.ī  na  raas  tanhā.ī
tumhīñ  batāo  ki  hai  kis  ke  paas  tanhā.ī
use  bhī  ab  ke  bahut  ranj-e-nārsā.ī  hai
khaḌī  hai  shahr  kī  sarhad  ke  paas  tanhā.ī
isī  liye  to  na  sahrā  meñ  hai  na  bastī  meñ
ki  ho  na  jaa.e  kahīñ  be-libās  tanhā.ī
tavīl  hijr  ne  donoñ  ko  yuuñ  ḳharāb  kiyā
ki  us  ke  paas  na  ab  mere  paas  tanhā.ī
añdherī  raat  meñ  āñkhoñ  meñ  ḳhvāb  kī  sūrat
kabhī  kabhī  nazar  aa.ī  udaas  tanhā.ī