muḳhtasar  sī  zindagī  meñ  kitnī  nādānī  kare
in  nazāroñ  ko  koī  dekhe  ki  hairānī  kare
dhuup  meñ  in  ābgīnoñ  ko  liye  phirtā  huuñ  maiñ
koī  saaya  mere  ḳhvāboñ  kī  nigahbānī  kare
ek  maiñ  huuñ  aur  dastak  kitne  darvāzoñ  pe  duuñ
kitnī  dahlīzoñ  pe  sajda  ek  peshānī  kare
raat  aisī  chāhiye  māñge  jo  din  bhar  kā  hisāb
ḳhvāb  aisā  ho  jo  in  āñkhoñ  meñ  vīrānī  kare
sāhiloñ  par  maiñ  khaḌā  huuñ  tishna-kāmoñ  kī  tarah
koī  mauj-e-āb  merī  aañkh  ko  paanī  kare