kisī  ke  ḳhvāb  se  baaqī  na  bedārī  se  qaa.em  hai
jahān-e-dard  bas  merī  adā-kārī  se  qaa.em  hai
zabāñ  se  kuchh  nahīñ  kahte  so  dil  ko  haul  aatā  hai
ki  ye  shahr-e-havas  kis  kī  dil-āzārī  se  qaa.em  hai
jahāñ  meñ  be-hunar  logoñ  ko  koī  kaise  samjhā.e
ki  ye  duniyā  abhī  tak  kār-e-be-kārī  se  qaa.em  hai
ḳhizāñ  ke  giit  to  ham  log  kab  se  gaate  aa.e  haiñ
fanā  kā  ḳhauf  phir  kis  kī  jahāñ-dārī  se  qaa.em  hai
ruḳh-e-mahtāb  se  kuchh  bhī  ayaañ  hotā  rahe  lekin
ye  kārobār-e-duniyā  sirf  ayyārī  se  qaa.em  hai