abhī  rusvā.iyoñ  kā  ik  baḌā  bāzār  aa.egā
phir  is  ke  baad  hī  vo  kūcha-e-dildār  aa.egā
vatan  kī  ek  tasvīr  ḳhayālī  sab  banāte  haiñ
ḳhabar  lekin  nahīñ  kyā  is  meñ  kū-e-yār  aa.egā
gul-e-shāḳh-e-mohabbat  par  lahū  kā  rañg  khiltā  hai
ki  ab  rañg-e-hinā  zikr-e-lab-o-ruḳhsār  aa.egā
hamāre  vāste  bhī  sā.at-e-hamvār  Thahregī
ki  rāh-e-shauq  meñ  jis  dam  vo  nā-hamvār  aa.egā
abhī  āb-o-havā-e-jism  ke  asrār  khulte  haiñ
abhī  vo  toḌne  is  jism  kī  dīvār  aa.egā
karo  ahl-e-junūñ  kuchh  to  karo  sāmān-e-dildārī
ki  shahr-e-ishq  meñ  vo  shoḳh  pahlī  baar  aa.egā