tamām  shaḳhsiyat  us  kī  hasīñ  nazar  aa.ī
jab  us  ke  qatl  kī  aḳhbār  meñ  ḳhabar  aa.ī
sharīf  log  chaḌhe  jab  nahīñ  haiñ  koThoñ  par
to  kis  ke  saath  ye  tahzīb  baam  par  aa.ī
guzar  ke  mujh  ko  ḳhad-o-ḳhāl  ke  sarāboñ  se
tamām  shahr  meñ  be-chehragī  nazar  aa.ī
ḳhamosh  kyā  huī  buḌhiyā  safed  bāloñ  kī
kahāniyoñ  kī  koī  raat  phir  na  ghar  aa.ī
ajiib  shaḳhs  thā  kuchh  der  guftugū  jo  huī
dil  o  dimāġh  meñ  ik  raushnī  utar  aa.ī
duā.eñ  maañg  rahe  the  havā  kī  log  magar
havā  chalī  bhī  to  āñkhoñ  meñ  dhuul  bhar  aa.ī
gulāb  TuuT  ke  bikhrā  thā  kal  jahāñ  'az.har'
usī  maqām  pe  ḳhushbū  mujhe  nazar  aa.ī