apne āñchal meñ chhupā kar mire aañsū le jā
yaad rakhne ko mulāqāt ke jugnū le jā
maiñ jise DhūñDne niklā thā use pā na sakā
ab jidhar jī tirā chāhe mujhe ḳhushbū le jā
aa zarā der ko aur mujh se mulāqāt ke ba.ad
sochne ke liye raushan koī pahlū le jā
hādse ūñchī uḌānoñ meñ bahut hote haiñ
tajraba tujh ko nahīñ hai mire baazū le jā
jo bhī ab haath milātā hai tujhe pūchhtā hai
aa mire hāthoñ se ye lams kī ḳhushbū le jā
log us shahr meñ kyā jaane hoñ kaise kaise
merā lahja mire iḳhlās kā jaadū le jā