apne  āñchal  meñ  chhupā  kar  mire  aañsū  le  jā
yaad  rakhne  ko  mulāqāt  ke  jugnū  le  jā
maiñ  jise  DhūñDne  niklā  thā  use  pā  na  sakā
ab  jidhar  jī  tirā  chāhe  mujhe  ḳhushbū  le  jā
aa  zarā  der  ko  aur  mujh  se  mulāqāt  ke  ba.ad
sochne  ke  liye  raushan  koī  pahlū  le  jā
hādse  ūñchī  uḌānoñ  meñ  bahut  hote  haiñ
tajraba  tujh  ko  nahīñ  hai  mire  baazū  le  jā
jo  bhī  ab  haath  milātā  hai  tujhe  pūchhtā  hai
aa  mire  hāthoñ  se  ye  lams  kī  ḳhushbū  le  jā
log  us  shahr  meñ  kyā  jaane  hoñ  kaise  kaise
merā  lahja  mire  iḳhlās  kā  jaadū  le  jā