is  rāste  meñ  jab  koī  saaya  na  pā.egā
ye  āḳhirī  daraḳht  bahut  yaad  aa.egā
bichhḌe  huoñ  kī  yaad  to  aa.egī  jīte-jī
mausam  rafāqatoñ  kā  palaT  kar  na  aa.egā
taḳhlīq  aur  shikast  kā  dekheñge  log  fan
dariyā  habāb  sat.h  pe  jab  tak  bānegā
har  har  qadam  pe  ā.ina-bardār  hai  nazar
be-chehragī  ko  koī  kahāñ  tak  chhupā.egā
merī  sadā  kā  qad  hai  fazā  se  bhī  kuchh  buland
zālim  fasīl-e-shahr  kahāñ  tak  uThā.egā
tārīf  kar  rahā  hai  abhī  tak  jo  aadmī
uTThā  to  mere  aib  hazāroñ  ginā.egā