hijr  kī  manzil  hameñ  ab  ke  pasand  aa.ī  nahīñ
ham  akele  haiñ  magar  hamrāh  tanhā.ī  nahīñ
ek  din  chhin  jā.egā  āñkhoñ  se  saarā  rañg-o-nūr
dekh  lo  un  ko  ki  ye  manzar  hameshā.ī  nahīñ
ik  junūñ  ke  vāste  bastī  ko  vus.at  dī  ga.ī
ek  vahshat  ke  liye  sahrā  meñ  pahnā.ī  nahīñ
kaun  se  manzar  kī  tābānī  añdherā  kar  ga.ī
aisā  kyā  dekhā  ki  ab  āñkhoñ  meñ  bīnā.ī  nahīñ
jab  kabhī  fursat  milegī  dekh  leñge  saare  ḳhvāb
ḳhvāb  bhī  apne  haiñ  ye  rāteñ  bhī  harjā.ī  nahīñ