mayassar  ho  jo  lamha  dekhne  ko
kitāboñ  meñ  hai  kyā  kyā  dekhne  ko
hazāroñ  qadd-e-ādam  aa.ine  haiñ
magar  tarsoge  chehra  dekhne  ko
abhī  haiñ  kuchh  purānī  yādgāreñ
tum  aanā  shahr  merā  dekhne  ko
phir  us  ke  baad  thā  ḳhāmosh  paanī
ki  log  aa.e  the  dariyā  dekhne  ko
havā  se  hī  khultā  thā  aksar
mujhe  bhī  ik  darīcha  dekhne  ko
qayāmat  kā  hai  sannāTā  fazā  meñ
nahīñ  koī  parinda  dekhne  ko
abhī  kuchh  phuul  haiñ  shāḳhoñ  pe  'az.har'
mujhe  kāñToñ  meñ  uljhā  dekhne  ko