ujālā dasht-e-junūñ meñ baḌhānā paḌtā hai
kabhī kabhī hameñ ḳhema jalānā paḌtā hai
ye masḳharoñ ko vazīfe yūñhī nahīñ milte
ra.iis ḳhud nahīñ hañste hañsānā paḌtā hai
baḌī ajiib ye majbūriyāñ samāj kī haiñ
munāfiqoñ se ta.alluq nibhānā paḌtā hai
alāva rāh-e-qalandar tamām duniyā meñ
kisī bhī raah se guzro zamāna paḌtā hai
shikastagī meñ bhī kyā shaan hai imārat kī
ki dekhne ko ise sar uThānā paḌtā hai
kisī ke aib chhupānā savāb hai lekin
kabhī kabhī koī parda uThānā paḌtā hai
ġhazal kā sher to hotā hai bas kisī ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunānā paḌtā hai