Azhar Inayati

ujala dasht-e-junun mein baDhana paDta hai

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946

ujālā dasht-e-junūñ meñ baḌhānā paḌtā hai

kabhī kabhī hameñ ḳhema jalānā paḌtā hai

ye masḳharoñ ko vazīfe yūñhī nahīñ milte

ra.iis ḳhud nahīñ hañste hañsānā paḌtā hai

baḌī ajiib ye majbūriyāñ samāj haiñ

munāfiqoñ se ta.alluq nibhānā paḌtā hai

alāva rāh-e-qalandar tamām duniyā meñ

kisī bhī raah se guzro zamāna paḌtā hai

shikastagī meñ bhī kyā shaan hai imārat

ki dekhne ko ise sar uThānā paḌtā hai

kisī ke aib chhupānā savāb hai lekin

kabhī kabhī koī parda uThānā paḌtā hai

ġhazal sher to hotā hai bas kisī ke liye

magar sitam hai ki sab ko sunānā paḌtā hai

Top Urdushayar.com