ġhamoñ  se  yuuñ  vo  farār  iḳhtiyār  kartā  thā
fazā  meñ  uḌte  parinde  shumār  kartā  thā
bayān  kartā  thā  dariyā  ke  paar  ke  qisse
ye  aur  baat  vo  dariyā  na  paar  kartā  thā
bichhaḌ  ke  ek  hī  bastī  meñ  donoñ  zinda  haiñ
maiñ  us  se  ishq  to  vo  mujh  se  pyaar  kartā  thā
yūñhī  thā  shahr  kī  shaḳhsiyyatoñ  ko  ranj  us  se
ki  vo  zideñ  bhī  baḌī  pur-vaqār  kartā  thā
kal  apnī  jaan  ko  din  meñ  bachā  nahīñ  paayā
vo  aadmī  ki  jo  aahaT  pe  vaar  kartā  thā
vo  jis  ke  sehn  meñ  koī  gulāb  khil  na  sakā
tamām  shahr  ke  bachchoñ  se  pyaar  kartā  thā
sadāqateñ  thiiñ  mirī  bandagī  meñ  jab  'az.har'
hifāzateñ  mirī  parvardigār  kartā  thā