banā.e  zehn  parindoñ  kī  ye  qatār  mirā
isī  nazāre  se  kuchh  kam  ho  intishār  mirā
jo  maiñ  bhī  aag  meñ  hijrat  kā  tajraba  kartā
muhājiroñ  hī  meñ  hotā  vahāñ  shumār  mirā
phir  apnī  āñkheñ  sajā.e  hue  maiñ  ghar  aayā
safar  ik  aur  rahā  ab  ke  ḳhush-gavār  mirā
tamām  umr  to  ḳhvāboñ  meñ  kaT  nahīñ  saktī
bahut  dinoñ  to  kiyā  us  ne  intizār  mirā
ye  merā  shahr  mirī  ḳhāmiyoñ  se  vāqif  hai
yahāñ  kisī  ko  na  aa.egā  e'tibār  mirā
ye  log  sirf  mirī  zindagī  ke  dushman  haiñ
mujassama  ye  banā.eñge  shāndār  mirā
mirī  bisāt  se  'az.har'  bahut  ziyāda  thiiñ
tavaqquāt  jo  rakhtā  thā  mujh  se  yaar  mirā