Sayed Mehdi Hussain Mehdi

raat-din lab pe na ho kyunki bayan-e-dehli

Sayed Mehdi Hussain Mehdi

rāt-din lab pe na ho kyūñki bayān-e-dehlī
na makīñ ab vo rahe aur na makān-e-dehlī
ba.az maqtūl hue ba.azoñ ne phāñsī paa.ī
naam ko bhī na rahe pīr-o-javān-e-dehlī
shikva be-fā.eda kartā hai kisī kā hamdam
thā muqaddar meñ likhā yuuñ hī ziyān-e-dehlī
nahīñ bāzār-e-mohabbat meñ ḳharīdārī-e-dil
chhān Daalī hai har ik maiñ ne dukān-e-dehlī
na vo arbāb-e-tarab haiñ na vo haiñ ahl-e-nishāt
haañ nazar aate haiñ kuchh marsiya-ḳhvān-e-dehlī
ġhamza thā āfat-e-jāñ aur qayāmat-qāmat
ajab andāz ke the māh-ruḳhān-e-dehlī
ghis ke sandal kā lagānā jinheñ dard-e-sar thā
dil pe rakhte haiñ vo andoh-e-garān-e-dehlī
farsh-e-gul pe jo jhijakte the qadam rakhte hue
chalte kāñToñ pe haiñ vo nāzukanān-e-dehlī
ġhash pe ġhash aate agar dekhte hazrat-yūsuf
aise andāz ke the kaj-kulahān-e-dehlī
jhuk gayā charḳh ḳhajil ho ke qadam-bosī ko
us ne dekhī thī kabhī rif.at-shān-e-dehlī
hosh jaate rahe tharrā ga.ī nār-e-dozaḳh
pahuñchī aflāk pe jab āh-o-fuġhān-e-dehlī
ḳhaak jal-bhun ke to ho jā.egā charḳh-e-bad-bīñ
naala kar baiThe jo dil-soḳhtgān-e-dehlī
kuchh ajab naqsha yahāñ kā nazar aatā hai mujhe
kyūñki dillī pe kiyā jaa.e gumān-e-dehlī
aur shahroñ ke kareñ laakh takalluf lekin
nahīñ hone kī mayassar ye zabān-e-dehlī
haiñ na.e rañg na.e ruup jahāñ ke 'mehdī'
kaf-e-afsos hai aur lāla-ruḳhān-e-dehlī
Top Urdushayar.com