Sayed Mehdi Hussain Mehdi

raat-din lab pe na ho kyunki bayan-e-dehli

Sayed Mehdi Hussain Mehdi

rāt-din lab pe na ho kyūñki bayān-e-dehlī

na makīñ ab vo rahe aur na makān-e-dehlī

ba.az maqtūl hue ba.azoñ ne phāñsī paa.ī

naam ko bhī na rahe pīr-o-javān-e-dehlī

shikva be-fā.eda kartā hai kisī hamdam

thā muqaddar meñ likhā yuuñ ziyān-e-dehlī

nahīñ bāzār-e-mohabbat meñ ḳharīdārī-e-dil

chhān Daalī hai har ik maiñ ne dukān-e-dehlī

na vo arbāb-e-tarab haiñ na vo haiñ ahl-e-nishāt

haañ nazar aate haiñ kuchh marsiya-ḳhvān-e-dehlī

ġhamza thā āfat-e-jāñ aur qayāmat-qāmat

ajab andāz ke the māh-ruḳhān-e-dehlī

ghis ke sandal lagānā jinheñ dard-e-sar thā

dil pe rakhte haiñ vo andoh-e-garān-e-dehlī

farsh-e-gul pe jo jhijakte the qadam rakhte hue

chalte kāñToñ pe haiñ vo nāzukanān-e-dehlī

ġhash pe ġhash aate agar dekhte hazrat-yūsuf

aise andāz ke the kaj-kulahān-e-dehlī

jhuk gayā charḳh ḳhajil ho ke qadam-bosī ko

us ne dekhī thī kabhī rif.at-shān-e-dehlī

hosh jaate rahe tharrā ga.ī nār-e-dozaḳh

pahuñchī aflāk pe jab āh-o-fuġhān-e-dehlī

ḳhaak jal-bhun ke to ho jā.egā charḳh-e-bad-bīñ

naala kar baiThe jo dil-soḳhtgān-e-dehlī

kuchh ajab naqsha yahāñ nazar aatā hai mujhe

kyūñki dillī pe kiyā jaa.e gumān-e-dehlī

aur shahroñ ke kareñ laakh takalluf lekin

nahīñ hone mayassar ye zabān-e-dehlī

haiñ na.e rañg na.e ruup jahāñ ke 'mehdī'

kaf-e-afsos hai aur lāla-ruḳhān-e-dehlī

Top Urdushayar.com