mahv-e-nazzāra-e-hairat  hai  havā  pahlī  baar
mujh  pe  darvāza-e-mahtāb  khulā  pahlī  baar
hijr  kī  shab  se  bahut  duur  sar-e-matla-e-shauq
ab  ke  tanhā.ī  meñ  vo  mujh  se  milā  pahlī  baar
ab  na  ehsān  kareñ  mujh  pe  ye  kaalī  rāteñ
is  añdhere  meñ  jalā  koī  diyā  pahlī  baar
ab  dhanak-rañg  bahut  saaf  nazar  aate  haiñ
apne  ā.īne  meñ  aa.ī  hai  jilā  pahlī  baar
ik  haqīqat  ne  kiyā  ḳhvāb  sā  jaadū  mujh  par
aur  maiñ  der  talak  sotā  rahā  pahlī  baar
aur  phir  dasht-e-junūñ  mujh  ko  bahut  yaad  aayā
chāk-e-dāmāñ  jo  abhī  maiñ  ne  siyā  pahlī  baar