apnī  ḳhātir  sitam  ījād  bhī  ham  karte  haiñ
aur  phir  nāla-o-fariyād  bhī  ham  karte  haiñ
ek  duniyā  mirī  ābād  hai  jin  se  vahī  ḳhvāb
kabhī  paspā  kabhī  barbād  bhī  ham  karte  haiñ
ḳhāna-e-jism  meñ  hañgāma  machā  rakkhā  hai
le  mirī  jaañ  tujhe  āzād  bhī  ham  karte  haiñ
apne  ahbāb  pe  karte  haiñ  dil  o  jaan  nisār
aur  aksar  unheñ  nā-shād  bhī  ham  karte  haiñ
ranj-e-ulfat  ke  sivā  ai  dil-e-nādān  batā
thā  koī  ranj  jise  yaad  bhī  ham  karte  haiñ
aur  bhī  log  haiñ  is  kār-e-ziyāñ  meñ  ham-rāh
so  in  ash.ār  ko  irshād  bhī  ham  karte  haiñ