ye  jahāñ  ḳhuub  hai  sab  is  ke  nazāre  achchhe
us  se  baḌh  kar  haiñ  ise  chāhne  vaale  achchhe
ek  hī  dauḌ  meñ  shāmil  hoñ  sabhī  log  to  phir
saare  aġhyār  bhale  haiñ  sabhī  apne  achchhe
aaj  bhī  terī  himāyat  hai  ki  ai  mauj-e-balā
chashm-e-namnāk  bhalī  ḳhuun  ke  dhāre  achchhe
kis  kī  tārīf  kareñ  kis  ke  qasīde  likkheñ
nafs-e-mazmūn  se  baḌh  kar  haiñ  havāle  achchhe
in  dinoñ  āb-o-havā-e-dil-o-jāñ  behtar  hai
māh-ruḳh  māh-jabīñ  maah  ke  paare  achchhe
ye  to  ik  kār-e-ziyāñ  hai  jo  rahegā  jaarī
ham  se  ā.eñge  suḳhan-var  abhī  achchhe  achchhe