muTThiyoñ  meñ  ret  bhar  lī  hai  batā.ūñ  kis  tarah
raat  din  āb-e-ravāñ  se  muñh  chhupā.ūñ  kis  tarah
raqs  karte  haiñ  bagūle  mere  tere  darmiyāñ
ret  par  dariyāoñ  kā  naqsha  banā.ūñ  kis  tarah
vo  udhar  us  paar  ke  manzar  bulāte  haiñ  mujhe
raushnī  ke  shahr  se  pīchhā  chhuḌā.ūñ  kis  tarah
yaad  sab  kuchh  hai  magar  kuchh  bhī  nazar  aatā  nahīñ
putliyoñ  meñ  tere  chehre  ko  chhupā.ūñ  kis  tarah
jab  yahāñ  is  shahr  meñ  sab  kuchh  ḳhizāñ-āsār  hai
be-dar-o-dīvār  kā  ik  ghar  banā.ūñ  kis  tarah