har-chand  duur  duur  vo  husn-o-jamāl  hai
ai  vus.at-e-nigāh  tirā  kyā  ḳhayāl  hai
duniyā-e-āb-o-gil  meñ  masarrat  kī  aarzū
aisī  hai  jaise  aap  kā  paanā  muhāl  hai
lo  sub.h-e-inqalāb  kā  bhī  aasrā  gayā
ab  kārobār-e-zīst  tirā  kyā  ḳhayāl  hai
vīrānī-e-hayāt  ko  phir  tuul  dījiye
ye  merī  zindagī  kā  muqaddam  savāl  hai
duniyā  ne  us  ko  jaan  ke  jaanā  nahīñ  abhī
'hāmid'  jo  ek  shā.ir-e-sad-ḳhasta-hāl  hai