pī  bhī  ai  māya-e-ashabāb  sharāb
garm-joshī  se  hai  kabāb  sharāb
maryamī  uḌ  ga.ī  masīhā  kī
lab-e-nāzuk  pe  hai  sharāb  sharāb
us  se  ham  jā  bhiḌe  adū  ke  ghar
hai  paḌī  ḳhānumāñ-ḳharāb  sharāb
kyuuñ  ki  mutlaq  harām  hī  kahiye
pīji.egā  milā  ke  aab  sharāb
bahr-e-har-zarf-e-imtihāñ  sāġhar
har  tamannā  kā  intiḳhāb  sharāb
ba.ad-azīñ  mohtasib  qasam  le  le
tauba  kartā  huuñ  lā  shitāb  sharāb
zaa.e.a  auqāt  ko  nahīñ  karte
piite  haiñ  vaqt-e-māhtāb  sharāb
saḳht  mātam  hai  ai  shabāb  tirā
ki  rulātī  hai  ḳhūn-e-nāb  sharāb
mohtasib  us  kā  ḳhuun  hai  kis  par
jo  hai  piitā  bajā.e  aab  sharāb
mus.haf-o-ḳhirqa  bechte  haiñ  ham
ho  ga.ī  jaan  ko  azaab  sharāb
us  kī  baḳhshish  hai  be-hisāb  agar
ham  bhī  piite  haiñ  be-hisāb  sharāb
har  ghaḌī  zikr-e-mai  hai  ai  vaa.iz
ho  ga.ī  terī  to  kitāb  sharāb
ai  'qalaq'  mai-kade  meñ  sajde  kyuuñ
kaun  degā  pa-e-savāb  sharāb