Qalaq Merathi

hum to yan marte hain wan usko KHabar kuchh bhi nahin

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
ham to yaañ marte haiñ vaañ us ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ
ai vo sab kuchh hī sahī ishq magar kuchh bhī nahīñ
tum ko fariyād-e-sitam-kash kā ḳhatar kuchh bhī nahīñ
kuchh to ulfat kā asar hai ki asar kuchh bhī nahīñ
āfiyat ek aur āzār hazāroñ us meñ
jis ko kuchh suud nahīñ us ko zarar kuchh bhī nahīñ
ḳhalvat-e-rāz meñ kyā kaam hai hañgāme kā
hai ḳhabar-dār vahī jis ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ
tū aur ik shaan ki aalam kī nazar meñ kyā kuchh
maiñ aur ik jaan ki phirte hī nazar kuchh bhī nahīñ
rahm hai us kā hī āshob-e-qayāmat kī dalīl
jis se bezār hai vo us ko ḳhatar kuchh bhī nahīñ
ham ko is hausle pe kyuuñ ki falak de sāmāñ
shikva-e-bār hai aur minnat-e-sar kuchh bhī nahīñ
rāhi-e-mulk-e-adam haiñ nahīñ fikr-e-manzil
qasd rakhte haiñ udhar kā ki jidhar kuchh bhī nahīñ
ziist afsūn-e-tamāshā hai tavahhum ke liye
hotī hai jalva-numā misl-e-sharar kuchh bhī nahīñ
ḳhud-parastī ke sabab shaiḳh-o-barahman ko hai ḳhabt
sab idhar hī kī banāvaT hai udhar kuchh bhī nahīñ
āqibat-bīñ ko hai har bazm kī shādī mātam
sham.a rotī hai ki hote hī sahar kuchh bhī nahīñ
roz-e-furqat kī darāzī se na dekhe shab-e-hijr
hasrat-e-shām meñ tashvīsh-e-sahar kuchh bhī nahīñ
jānte haiñ ki na bhaTkegā jahāñ kyā kyā kuchh
dekhte haiñ ki unheñ madd-e-nazar kuchh bhī nahīñ
ai 'qalaq' piite hī masjid meñ chale aate ho
be-ḳhabar kitne ho tum bhī ki ḳhabar kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com