dīda-e-sarf-e-intizār  hai  sham.a
merī  hālat  kī  yādgār  hai  sham.a
nahīñ  dil  meñ  kisī  ke  soz-o-gudāz
ki  tamāshā-e-rozgār  hai  sham.a
pa.e-jumbish  sadā  taḌaptī  hai
tapish-e-nā-tavāñ  shikār  hai  sham.a
ruḳh-e-raushan  hai  nūr-e-bīnā.ī
chashm-e-ushshāq  kā  ġhubār  hai  sham.a
roz-e-tīra  meñ  bad-numā  ḳhurshīd
shab-e-raushan  meñ  tīra-kār  hai  sham.a
yād-e-gul-e-ruḳh  se  phuul  jhaḌte  haiñ
kis  bashāshat  se  nau-bahār  hai  sham.a
ḳhaak  nāsūr-e-dil  bhare  is  kā
zaḳhmī-e-girya-hā-e-zār  hai  sham.a
husn  dīvāna  sab  ko  kartā  hai
apne  hī  aap  par  nisār  hai  sham.a
sub.h  hote  hī  TimTimātī  hai
aap  kī  chashm-e-pur-ḳhumār  hai  sham.a
kyuuñ  na  ro.e  na  kis  tarah  se  jale
ki  fuġhānī-e-rāz-dār  hai  sham.a
nahīñ  bujhtī  lagī  huī  jī  kī
shola-e-jān-e-sogvār  hai  sham.a
hai  idhar  dāġh-e-barq-e-parvāna
aur  udhar  chashm-e-abr-bār  hai  sham.a
husn  bhī  hai  ma.āl-e-kār  vabāl
bazm-dar-bazm  kyā  hai  ḳhaar  hai  sham.a
jhāñknā  parde  se  burī  ḳhū  hai
ḳhud-ba-ḳhud  aap  sharmsār  hai  sham.a
shab-e-tanhā.ī  aur  tū  aur  ye
ai  'qalaq'  terī  ġham-gusār  hai  sham.a