Qalaq Merathi

har adawat ki ibtida hai ishq

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
har adāvat kī ibtidā hai ishq
ki mohabbat kī intihā hai ishq
lo zuleḳhā ko kab huā hai ishq
kis qadar tāqat-āzmā hai ishq
falak o mudda.ī o yaar o ajal
sab bhale haiñ magar burā hai ishq
dekhiye is kā hogā kyā anjām
ab ḳhudā se hameñ huā hai ishq
ho chukā ham se kuchh jo honā thā
tū ne ye haal kyā kiyā hai ishq
vāmiq-o-qais-o-kohkan kyā the
ajal-o-āfat-o-balā hai ishq
dekhnā shauq-o-sharm kā sheva
husn-e-ḳhud-bīñ hai ḳhud-numā hai ishq
kaun jaane thā us kā nām-o-numūd
merī barbādī se banā hai ishq
dil karo ḳhuuñ to kyā hai dildārī
jaan jaatī rahe to kyā hai ishq
ġham-zadā.ī meñ ġham-fazā kyā kuchh
dil-rubā yā na jāñ-rubā hai ishq
bā-vafā vo haiñ bevafā hai husn
bevafā ham haiñ bā-vafā hai ishq
ġhamza sā ġhamza ġham meñ kartā hai
kuchh se kuchh ab to ho gayā hai ishq
kaise kaisoñ kī us ne lī hai jaan
dekhnā kyā hī ḳhush-adā hai ishq
kyuuñ ke mātam na ab vafā kā rahe
mere marte hī mar miTā hai ishq
dekhnā marg-o-zīst ke jhagḌe
jāñ-fazā husn-o-jāñ-guzā hai ishq
vaisā hī hai farishta jaisī ruuh
ai 'qalaq' terā āshnā hai ishq
Top Urdushayar.com