ai  ḳhaar  ḳhār-e-hasrat  kyā  kyā  figār  haiñ  ham
kyā  haal  hogā  us  kā  jis  dil  meñ  ḳhaar  haiñ  ham
har  chand  dil  meñ  tere  zālim  ġhubār  haiñ  ham
kitne  dabe  hue  haiñ  kyā  ḳhāksār  haiñ  ham
kyā  jaane  kyā  dikhā.e  kam-baḳht  rāz-e-dushman
be-iḳhtiyār  ho  tum  aur  be-qarār  haiñ  ham
vaañ  shoḳhiyoñ  ne  maare  nākām  kaise  kaise
yaañ  sādgī  se  kyā  kyā  umīd-vār  haiñ  ham
ne  raḳht  mai-kade  meñ  ne  ka.abe  kā  irāda
haiñ  dil  lagī  ke  bande  yāroñ  ke  yaar  haiñ  ham
vaañ  sarguzisht-e-dushman  vo  kah  rahe  haiñ  muñh  par
yaañ  be-ḳhudī  hai  is  par  kyā  rāz-dār  haiñ  ham
saaqī  tirī  nigāheñ  kab  tak  raheñgī  palTī
hai  nashsha  zāhidoñ  ko  aur  bāda-ḳhvār  haiñ  ham
ka.aba  hai  sañg-e-bālīñ  zohād-e-ḳhufta  dil  kā
aur  mai-kade  ke  andar  shab-zinda-dār  haiñ  ham
allāh  re  zarf-e-dil  kā  sab  kī  jagah  hai  is  meñ
be-ġham  rahe  hai  dushman  kyā  ġham-gusār  haiñ  ham
ai  hashr  bach  ke  chalnā  ai  charḳh  haT  ke  girnā
hai  barq  saaya  jis  kā  vo  ḳhār-zār  haiñ  ham
itnī  ḳhalish  mizha  kī  ab  baḌh  ga.ī  ki  goyā
zaḳhm-e-dil-e-adū  meñ  ḳhanjar-guzār  haiñ  ham
kab  tak  rahegā  dushman  jaame  se  apne  bāhar
ho  aag  aag  jis  se  tum  vo  sharār  haiñ  ham
dushman  kī  jeb  meñ  tum  sabr-o-shakeb  meñ  ham
tum  dast-e-kotahī  ho  pā-e-nigār  haiñ  ham
vādī-e-justujū  se  guzrīñ  to  kyā  ajab  hai
vārafta  kaise  kaise  lail-o-nahār  haiñ  ham
kyā  bāda-e-javānī  mard-āzamāñ  nasha  thā
ab  ai  'qalaq'  vabāl-e-ḳhvāb-o-ḳhumār  haiñ  ham